Zindagi Ke Safar Mein Guzar Jaate Hai Jo Makaam
Woh Phir Nahi Aate - Woh Phir Nahi Aate
Zindagi Ke Safar Mein Guzar Jaate Hai Jo Makaam
Woh Phir Nahi Aate - Woh Phir Nahi Aate
Phool Khilte Hai, Log Milte Hai
Phool Khilte Hai, Log Milte Hai Magar
Pathjhad Mein Jo Phool Mhur Jaate Hai
Woh Baharon Ke Aane Se Khilte Nahi
Kuchh Log Ek Roz Jo Bichad Jaate Hai
Wah Hazaaron ke Aane Se Milte Nahi
Umru Bhar Chaahe Koi Pukara Kare Unka Naam
Woh Phir Nahi Aate .. Woh Phir Nahi Aate..
Aankh Dhoka Hai, Kya Barosa Hai
Aankh Dhoka Hai, Kya Barosa Hai Suno
Doston, Shaque Dosti Ka Dushman Hai
Apne Dil Mein Isse Ghar Banane Na Do
Kal Tadapna Pade Yaad Mein Jinki
Rok Lo Rukhkar Unko Jaane Na Do
Baad Mein Pyar Ke Chaahe Bhejo Hazaaron Salaam
Woh Phir Nahi Aate.. Woh Phir Nahi Aate..
Subah Aati Hai, Raat Jaati Hai
Subah Aati Hai, Raat Jaati Hai Yun
Hi Waqt Chalta Hi Raheta Hai, Rukta Nahi
Ek Pal Mein Yeh Aage Nikal Jaata Hai
Aadmi Teek Se Dekh Paata Nahi
Aur Parde Pe Manzar Badal Jaata Hai
Ek Baar Chale Jaate Hai, Jo Din-Raat Subaho Shaam
Woh Phir Nahi Aate... Woh Phir Nahi Aate..
Zindagi Ke Safar Mein Guzar Jaate Hai Jo Makaam
Woh Phir Nahi Aate - Woh Phir Nahi Aate
Movie: Aap Ki Kasam
Lyrics: Anand Bakshi
Music: R.D.Burman
Contributed: Jayanti Chowdhury
|